Friday, August 16, 2013

Zinda ho tum


Dilo mein tum apni betaabiyan le ke chal rhe ho toh zinda ho tum
Nazar mein khaabo ki bijliyaan le kar chal rhe ho toh zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise azad rehna seekho
Tum ek dariyan ke jaise lehron mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya samaa dekhe yeh nighaayein
Jo apni aakhon mein hairaaniya le ke chal rhe ho toh zinda ho tum
Dilo mein tum apni betaabiyan le ke chal rhe ho toh zinda ho tum....

Dil aakhir tu kyun rota hai...


Jab jab dard ka baadal chaya
Jab gum ka saaya lehraya
Jab aasun palko tak aaya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya...
Dil tu aakhir kyun rota hai
Duniya mein yun hi hota hai
Yeh jo gehre sanaate hain
Waqt ne sab ko hi baatein hain
Thoda gum hai sabka kissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi namm hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai....

Ehsaas


Ek baat honto tak hai jo aayi nahi
Bas aankhon se hai jhaankti
Tumse kabhi...mujhse kabhi...kuch lavz hai woh maangti
Jin ko pehn ke hoonto tak aa jaaye woh
Aawaz ki baahon mein baahein daal ke ithlaaye woh
Lekon jo yeh ek baat hai...
Ehsaas hi ehsaas hai.
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo beawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai...jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahi...
Yeh jaane kaisa raaz hai.

Yakeen


Pighle neelam sa behta hua yeh samah
Neeli neeli si khamoshiyan
Na kahin hai zameen...na kahin aasman
Sarsarati hui tehniyan...pattiyan
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan
Sirf main hoon...
Meri saansein hain aur meri dhadkanein
Aisi gehraiyaan...aisi tanhaiyaan...
Aur main...sirf main
Apne hone pe mujhko yakeen aa gaya.